Tuesday, 11 June 2019

Muntazir

Khamoshi main bhi aik aahut si hoti hai,
Jab dil ko teray aanay ki chahut si hoti hai,
Bayrung zindigani main kuch rungoun ki barish kar ja,
Khushiyoun ki kuch youn sifarish he kar ja,
Kay ab toh sawun aayay baras he beet gaayay hai,
Per dastoor-e-duniya ki bhi reet kahay hai,
Kay muskaan bina aansoo aur aansoo bina muskaan,
Bhala in ki khanabadosh maujoodgi say, mehroom kaun insaan,
Thamtay he jana tha kay ik din woh waqt phir aayayga,
Jab talaashta teri parchai ko, andhayra chaayayga,
Uss din ik pal main aankhoun say ojhal hoti dikhay gee tu,
Aur main haath malta he reh jaoun ga, taktay teri su,
Kay tu toh karakhti dhoop main chaoun lai thee,
Haath thaamti, sambhaalti, jab aagay kuaan peechay khai thee,
Per thee tu bhi bus aik humsafar he,
Thee jo sar-e-rah mili youn he,
Khushi ki boundoun say tu nay barish barsai,
Apni lagi, per thee toh woh khushi bhi parai,
Aur dhoop nay toh phir aik din nikalna he tha,
Jaisay kismut main tera milna bhi tha,
Badal chathnay thay, dhoop parhni thee,
Anjaan bunta tha, per tu bhi toh barhni thee,
Aagay apni kisi manzil ki aur,
Kho gaya tera deewana bun, beech duniya kay shour,
Loag kehtay hain naam toh aasmanoun main miltay hain,
Kamal tub he toh milan say khiltay hain,
Phir taqdeer main jo hua tera mera milna kabhi,
Toh rok paayay na khud khudai, na duniya sabhi,
Muntazir rahoun ga teray deedar ka ikhtitaam tak,
Tera ho kay he faqt rahoun ga, aakhri aayaam talak.

No comments:

Post a Comment