Tuesday, 11 June 2019

Anmol

Sitamgar sa waqt hai,
Beethta hai, thumta naheen,
Kho jata hai fard agosh main uss ki,
Manzil kahaan, kuch pata naheen, 
Rah main kabhi phool toh kabhi kaantay,
Pathar, kankar, aatay hain sabhi,
Hai khuda kya, khudai kya,
Maloom hota hai sab tabhi,
Chaand aur sitaroun se saathi, 
Ruh se jism kay taaluq sa paak,
Musafir ko milain humsafar kai,
Per heera kon, faqeera kon, toh kon faqt rakh,
Tamashbeen dunya hai,
Bikhti hai sab yahaan, iman bhi afsoos,
Tera dil saaf hai, nazar shafaaf hai,
Phir kismut ko mut toun youn kos,
Iman rakh uss zaat per jisne tujhe hai banaya,
Teri achai ka mile ga tujhe mol,
Sabar kar, faryaad kar, Uss ki barahai ko yaad kar,
Milay ga tujhe bhi woh jo sab hai anmol.

No comments:

Post a Comment