Bus youn daikhta rahoun tujhay umar bhar,
Youn he kut jaaye zindagi ka safar,
Haath main meray tera haath ho,
Zindagi hai haseen tu jo saath ho,
Teri muskaan peh jo dil haar betha,
Teri he khatir jeeta, hai jo kehta,
Hoon main wohi dilbar tera,
Aashiaana bana diya tunay ghar mera,
Teray dum say he ab roshan hai zindagi,
Khuda ka bunda hoon, karta uss he ki bundagi,
Per tujhay daikh maloom hota hai,
Khuda ki kudrat dayti kya tohfa hai,
Agar sabar say karo kisi humdum ka intizaar,
Toh jo chahay kahay duniya, na jata woh bekaar,
Lo tujh say aaj karta hoon dil khol k izhaar,
Teray he toh muntazir tha, madhooshkun khumaar,
Laakh karti thee tum jis baat peh israar,
Kay keh doun laboun say, aaj karta hoon iqraar,
Shayar nahi per deewana hua, shayud iss ka hai naam pyaar.
No comments:
Post a Comment